Saturday 18 June 2011

Hindi Poems


Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Jo bani ho Mere lye
Jis ke lye mai Jee raha hoon
Jo kahe Hum saath hain Tere
Jise dekhne k liye Tarap raha hoon
Ek aisa hi Dildaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye
Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye
Ho har Waqt rahe saath mai Mere
Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye
Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Jis ki ek Hansi k liye
Mar jane ko Dil kare
Jo kehde ek baar to
Phir Jeene ko Dil kare
Aisa hi Ek Humsafar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Ek baar mili thi Mujhe woh
Par pata nahi kaha kho gayi
Ab agar mil jaye toh
use kahi jane na doon
Wohi khoya Yaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Regards.
Mohsin Jari

A Kavita from Nigaah’s Diary

Dil Ki Aawaaz
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
guzarti nahin hai, meri koi bhi pal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
woh manzil yahaan nahin milegi
jise tujhe talash hai
woh manzar yahaan nahin dikhega
jo tere dil ke aas paas hai
milti nahin hai mujhe yahaan koi bhi hal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
waise log yahaan nahin hai
jinko dhund raha hai tu
yahaan log waise nahin hai
jinse jud raha hai tu
na banegi yahaan mere sapno ka mahal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
Nigaah

Mohabbat Chup Nahi Raheti…

Wo Boli, Dil Ko Koi Beyaqeeni Hai Muhabbat Me
Mai Bola, Thik Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Wo Boli, Arzoain Dil Ke Andar Bain Karti Hai
Mai Bola, Thik Hai Mujh Ko Sunayi Dete Rahete Hain
Wo Boli, Hum To Jaise Ek Musalsil Dukh Ke Qaidi Hain
Mai Bola, Thik Hai Ye Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hain
Wo Boli, Koi Shab To Khab Me Bhi Khab Aate Hain
Mai Bola, Thik Hai Kuch Hasraten Aise Bhi Kartin Hain
Wo Boli, Bareshon Me Aur Ziyadh Jaan Silagti Hai
Mai Bola, Thik Hai Ye Aag Pani Ke Masael Hain
Wo Boli,Raat Kion Mushkil Se Katti Hai Judai Me
Mai Bola, Waqt To Kaifiyaton Ka Naam Hota Hai
Wo Boli, Chahaton Me Dard Ke Rahene Ki Qahish Kion
Mai Bola, Dard Ke Mare Howoon Ko Chain Mil Ta Hai
Wo Boli, Ruh Ki Aasoodgi Ko Kiya Zaroori Hai
Mai Bola Ruh Ko Aaloodgi Achchi Nahi Lagti Hai
Wo Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kiya Kahani Hai
Mai Bola, Aadam O Hawwa Ki Chahat Ki Nishani Hai…
Poet : Fahat Abbas Shah
Take Care
Presented By
Asrar Ahmed Danish

Soch aur hakikat k beech…..ye dooriyan

Door se dekha,
Kisi ke sath ja raha tha vo.
Awaaz aa rahi thi jaise,
Gunguna raha tha vo.
Masti me chalta aise,
Itraa raha tha vo.
Nazdeek pahunche to,
Tasweer hi badal gayi.
Na chahte huye bhee,
Aankhe machal gayi.
Akela hi tha vo us din,
Ladkhada raha tha vo.
Vo ro raha tha us din,
Ghabra raha tha vo.
Dooor se na pahchaana,
Vo kaun shakhs tha,
Kohra ghana tha us din,
Vo hamara hi aks tha.
Ashish sharma

Todayz Shaireee…

Aap ki yaad aatii rahii raat bhar
Chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
Raat bhar dard kii shammaa jaltii rahii
Gam kii lau tharatharaatii rahii raat bhar
BaaNsurii kii surilii suhaanii sadaa
Yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar
Yaad ke chaaNd dil men utarate rahe
ChaaNdanii jagamaatii rahii raat bhar
Koii dewaanaa galiyon may phirataa rahaa
Koii aavaaz aatii rahii raat bhar
*«´¨`·.¸¸.*¤* ashish *¤*.¸¸.·´¨`»*

Mai na ek sapna dheka ha …

Dream Girl
Mai na ek sapna dheka ha
Kissi ko apna dheka ha
Yadon mai uss ki khoya hon
Bra ghafil ho k soya hon
Her pal bas mujhse kehta hai
Is dil mai koi rehta hai
Jis roz usko kho’unga
Uss roz kasam se ro’unga
Yaad to tab bhi aegi
Aankhon ko nam kar jae gi
Pr rone sa kiya hota hai
Kuch kehne se kia hota hai
Jo likha hai apni qismat men
Hr surat wohi to hota hai
*~* ashish*~*

Hindi Shayari

Dil Lagi Ki Kisi Ko Aisi Sazaa Naa Mile
Pyaar Ke Bina Jeena Zindagi Aisi
Kisi Ko Aisi Mout Naa Mile
Kamm Se Kamm Sambhalne Keliye
Dostoun Ka Sahara Toh Mile
Zindagi Me Sab Ke Din Hain Chaar
Ussme Kisi Ko Bhi Itne Gham Naa Mile
Mohabbat Hoti Nahi Sabse Zindagi Me
Jis Se Bhi Ho mohabbat Ho Dil Se
Bass Dil Ko Uss Se Bewafai Naa Mile
Hum Toh Jee Lenge Kaise Bhi Unke Bina
Bass Humari Wajhe Se Unki Aankhoun
Ko kabhi Aansoo Naa Mile Ye Dua Hai Meri

Thanks & Best Regards

Rubina

No comments:

Post a Comment